Laboratory Apparatus and Their Uses


1. Bunsen Burner
Bunsen burner liquids aur solids ko heat karne ke liye use hota hai jo volatile na hon.

2. Funnel
Funnel ek bartan se dosray bartan main liquid transfer karne ke liye use hoti hai.

3. Stirring Rod
Solutions ko mix karne ke liye aur liquids ke flow ko direct karne ke liye use hoti hai.



4. Beaker
Beaker ko container ki tarah use karte hain jab liquid ka approximate volume measure karna ho.

5. Graduated Cylinder
Ye liquids ka exact volume measure karne ke liye use hota hai.

6. Erlenmeyer Flask
Ye flask liquids ko heat karne ke liye suitable hai, jaise Bunsen burner ke sath.



7. Test Tube
Test tube choti quantity main chemicals ko hold, mix ya heat karne ke liye use hoti hai, specially qualitative experiments ke liye.

8. Thermometer
Thermometer kisi substance ka temperature measure karne ke liye use hota hai.

9. Test Tube Rack
Test tubes ko kharay rakhne ke liye stand ki tarah use hota hai.




Spatulas
Spatulas istemal hote hain solid chemicals ko unke containers se nikalne ke liye.

Iron Stand
Iron stand istemal hota hai iron ring, utility clamp waghera ko hold karne ke liye.

Tripod
Tripod glassware jaise beakers aur flasks ko support karne ke liye use hota hai, khaas taur par jab heating ho rahi ho.



Burette
Burette istemal hoti hai exact volume of liquid dene ke liye, zyadatar titration main.

Watch Glass
Watch glass istemal hota hai jab kisi substance ka reaction hawa main dekhna ho.

Gauze
Wire gauze tripod ke upar rakha jata hai taake beaker ya glassware ko support milay.



Evaporating Dish
Evaporating dish istemal hoti hai heating ke liye, khaas taur par stable solid compounds aur elements ke liye.

Litmus Paper

  • Red litmus paper use hota hai bases ko pehchan’ne ke liye.
  • Blue litmus paper acids ko pehchan’ne ke liye.

Universal Indicator Paper
Universal indicator paper se pH check karte hain aur substance acidic, neutral ya alkaline hai yeh maloom hota hai.




Post a Comment

0 Comments